Hello everyone aaj mujhe 39 weeks 2 days ho gye hai abhi bhi mujhe koi dard wale symptoms nhi hai pelvic area me urine krte vkt pressure mehsoos hota h kamar aur back me bhi pain hota hai but labour pain jesa kuch mehssos nhi hota.. mera baby ka headdown position 35 weeks me hi ho gya tha but abhi tk labour start nhi huaa meri edd date 19 june ko hai muje darr hai khi mera baby 21 ya 22 ko na ho kyuki us din surya grahan hai joh bchhe k janam lene k liye bilkul bhi achhe din nhi hai mujhe ab wait ho hi nhi raha hai... Wait krte krte ab mujhe gussa aane lga h jisse mujhe bohot chid chid ho rhe hai mere frnds ne mujhe Castrol oil lene ki advice di hai but mujhe vo oil lene me bhi ghabrahat ho rhi hai khi labour pain start krne k chakkar me kuch ulta sidha na ho jayee abhi 19 june ko sirf 6 din bchhe h please mujhe kuch suggest kijiye jisse main khudka gussa control kr sku aur naturally labour pain laa sku aur kya Castrol oil lena sahi hoga ya nhi yeh bhi batayi please????
Labour & Delivery
6 years ago
Asked when 40 weeks pregnant
Q: Hello everyone aaj mujhe 39 weeks 2 days ho gye hai abhi bhi mujhe koi dard wale symptoms nhi hai pelvic area me urine krte vkt pressure mehsoos hota h kamar aur back me bhi pain hota hai but labour pain jesa kuch mehssos nhi hota.. mera baby ka headdown position 35 weeks me hi ho gya tha but abhi tk labour start nhi huaa meri edd date 19 june ko hai muje darr hai khi mera baby 21 ya 22 ko na ho kyuki us din surya grahan hai joh bchhe k janam lene k liye bilkul bhi achhe din nhi hai mujhe ab wait ho hi nhi raha hai... Wait krte krte ab mujhe gussa aane lga h jisse mujhe bohot chid chid ho rhe hai mere frnds ne mujhe Castrol oil lene ki advice di hai but mujhe vo oil lene me bhi ghabrahat ho rhi hai khi labour pain start krne k chakkar me kuch ulta sidha na ho jayee abhi 19 june ko sirf 6 din bchhe h please mujhe kuch suggest kijiye jisse main khudka gussa control kr sku aur naturally labour pain laa sku aur kya Castrol oil lena sahi hoga ya nhi yeh bhi batayi please????